school ke din

"ek kavita unke nam jinke sath bachpan ke yadgar pal bitaye hai"

Wo maths ki class me khai jo sir ki mithi daat hai
Us dat me chipi salah lagti aj bhi madadgar hai .. 

Wo recess ke dabbe sath khane ki maja hi nirali hai
Us dabbe me ek sath sabhi dosto ki ungliya yad aai hai..

Wo school ka crush mera aj bhi anari hai
Uske nam ka page meri slam book me ajj bhi khali hai .. 

Wo dosto ke chidhane se ajj bhi ati muh me gali hai
Unki yade mujhko ajj bhi hasati our rulati hai..

Wo annual day practice ka zero period bhi kya kamal hai
Us period me kiya hamne bhi khup sa dhamal hai..

Wo school nhi mamuli balki yado ka bhandar hai
Us bhandar me chupa khajana mere dosto ka aprampar hai .. 
πŸ’œπŸ’œπŸ’œ

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Alfaaz

beautiful childhood